Kaho To Laut Jate Hain
Abhi To Baat Lamhon Tak He Saalon Tak Nahi Aai
Abhi Muskaanon Ki Nobat Bhi Naalon Tak Nahi Aai
Abhi To Koi Majborri Khiyaalon Tak Nahi Aai
Abhi To Gard Peroon Tak Hay Baalon Tak Nahi Aai


Kaho To Laut Jate Hain
Chalo Ek Faisla Karne Shajar Ki Aut Jate Hain
Abhi Kajil Ki Dori, Surkh Galon Tak Nahi Aai
Zubaan Datoon Talak Hai Zehr Piyaalon Tak Naheen Aai
Ibhi To Mushk-E-Kustori Ghazaloon Tak Nahin Aai
Ibhi Rodad-E-Beunwaan Humaray Darmian He, Duniyan Waaloon Tak Nahin Aai
Kaho To Lout Jatan Hain

Chalo Ik Faisala Karnay Sharjer Ki Out Jatan Han
Abhi Nazdeek Hein Ghar Aur Manzil Door He Apni
Mubada Naar Ho Jayay Ye Hesti Noor Hai Apni

Kaho To Lout Jatay Han
Chalo Ik Fasala Karnay Shajar Ki Out Jatan Han.
Ye Rasta Piyar Ka Rasta,
Rasan Ka Daar Ka Rasta,
Bohat Dushwar He Jaana
Keh Is Rastay Ka Her Zarra Bhi Ik Kohsar He Jana.

Kaho To Lout Jatay Hain

Maray Baray Na Kuch Socho
Mujhay Tay Karna Ata He
Rasan Ka Daar Ka Rasta
Ye Asaiboon Bhara Rasta
Ye Andhi Ghaar Ka Rasta

Tumhary Gaisoowun Ki Chaoon Mil Jayay
To Suraj Se Ulajhna Baat He Kia He
Utha Lo Apna Saya To Meri Ouqat Hi Kia He
Tumhara Narm O Nazuk Hath Ho Gr Mere Haathon Me
To Me Ye Samjho Ga
Ke Jasay Do Jahan Ho Mari Muthi Me
Tumhara Kurb Ho To Mushkilan Kafoor Ho Jayen
Ye Undhay Ur Kalay Rastay Pur Noor Ho Jayan.

Mujhe Maloom Hei Itna Keh Dayem Zandagi Posheeda He In Char Kadmoon Me
Bohat Si Ra-Hatan Muzmir Hain In Dushwar Rastoon Man
Meray Baray Na Kuch Socho
Tum Apni Bat Batlaoo
Kahoo To Chaltay Rahtay Hain

Kahoo To Lout Jatay Hain
URDU POETRY March 16, 2023
Read more ...
Ajnabi Si Raahon Mein Door Tak..
Nigaahon Mein Be-Rukhi Ka Mausam Hai.
Aaj Phir Nigaahon Ko, Beete Pal Ki Pyaas Hai.
Phir Reha Hun Dar-Ba-dar Mojzey Ki Aas Hai..
Aisa Lagta Hai Jaise..
December Phir Udaas Hai..
Baat Toh Kare Koi,
Saath Toh Chale Koi,
Khaamoshi Ka Pehra Hai
Zakhm Dil Ka Gehra Hai
Kisi Bahut Apne Ki
Ab Mujhe Talaash Hai.
Aisa Lagta Hai Jaise..
December Phir Udaas Hai
 


URDU POETRY March 16, 2023
Read more ...
jab tassawar mera chupke se tujhe choo aaye
apni har sans se mujhko teri KHUSHBOO aaye

mashghala ab hai mera chnd ko taktte rehna
raat bhar chain na mujhko kisi pehloo aaye

pyaar ne hum mein koi farq na chorha baqi
jheel mein aks to mera ho nazar tu aaye

jab kabhi gardish e dauran ne sattaya mujhko
meri jaanib tere phaile huye baazoo aaye

jab bhi socha ke shab e hijjar na ho gi roshan
mujhko samjhane teri yaad ke jugnu aaye

uss ke lehje ka assar to hai badi baat QATEEL
wo to aankhon se bhi karta hua jadoo aaye
 

URDU POETRY March 16, 2023
Read more ...
Usay Khone Se Darta Tha
Bohat Rone Se Darta Tha
Phir Ek Din Ye Samajh Aaya
Ke Roya Un Ko Jata Hai
Bichre Jo Muqaddar Se
Ke Khoya Unko Jata Hai
Jo Hasil Hon Muyassar Hon
Jo Danista Bichar Jaye
Usay Roya nahi Karte
Jisay Paaya Nahi Ab Tak
Usay Khoya Nahi Karte


URDU POETRY March 16, 2023
Read more ...
Aye Guzre Baras Bata Tujhe Bhoolon Kaise
Tere Lamhon Ne Mere Barson Ki rafaqat Cheeni


Aaj Ek Or Baras Beet Gaya Uske Bagair
Jis Ke Hote Howe Hote Thai Zamane Mere

Ek Ajnabi Ke Hath Mai Dekar Hamara Hath
Lo Sath Chorne Laga Akhir Ye Saal Bhi

Mujh se Bichar Gaya Jo Guzry Saal ki Tarha,
Is ka Bhi Haal ho ga Mere Haal ki Tarha,
Aya Nahi Wo Reh gaye Rasty Sajy huwe,
Ye Saal Bhi Guzar Gaya Her Saal ki Tarha

Na Koi Ranj Ka Lamha Kisi Ke Pas Aye
KHUDA Kare Naya Saal Sab Ko Raas Aye



URDU POETRY March 16, 2023
Read more ...
Kam tere Zabt ki qeemat nahi karne walay
Hum teri ankh se hijrat nahi krne walay

Apne Nazdeek mohabat hai ibadat ki tarha
Hum ibadat ki tijarat nahi krne walay

Ye alag baat hai k izhaar nahi kar sakte
Ye na samjho mohabat nahi karne walay

Kaat kar phaink de sar chahe saja naizay par
Hum tere haath pe Baiat nahi karne walay

Hakim-e-waqt Zara apne Garebaan mein jhank
Log Bewajha Baghawat Nahi Karne Walay



URDU POETRY March 16, 2023
Read more ...
Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Teri Aankhon Ko Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chhin Gayi Jab Se
Koi Bhi Lafz Likhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Teri Yaadon Ki Khushbu Khirkiyon Mein Raqs Karti hay
Tere Gham Mein Sulagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Main Hans K Jheel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein
Gale Jab Uss K Lagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Na Jane Ho Gaya Hoon Iss Qadar Hassas Main Kab Se
Kisi Se Baat Karta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Wo Sub Guzre Hue Lamhat Mujh Ko YaadAate Hain
Tumhare Khat Jo Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Main Saara Din Bahot Masroof Rehta Hoon MagarJunhi
Qadam Choukhat Pe Rakhta Hoon Tou aankhen Bheeg Jaati Hain

Bare Logon K Oonche Badnuma Aur Sard Mahlon Ko
Ghareeb Aankhon Se Takta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain



Tere Kooche Se Ab Mera Ta’alluq Wajbi Sa Hay
Magar Jab Bhi Guzarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Hazaron Mausamon Ki Hukmarani Hay Mere Dil Per
Wasi Main Jab Bhi Hansta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain



URDU POETRY March 16, 2023
Read more ...